Inspirational Story : JUDO GULSHER AND HIS TEACHER

HELLO FRIENDS:
this is my first blog that is a story name "judo gulsher and his teacher"


LET'S START:                                                                                                               



Ek din gulsher bus se ghar lot raha tha,to usne dekha ki kuch gunde kisi ka mobile churakar bhaag rahe hai. uske shor machane par logo ne gundo ko toh pakad liya,par tab tak ek gunde ne gulsher ko chalti bus se bahar dhakka de diya .gulsher gambheer roop se ghayal ho gaya. use bachane ke liye uska baanya haath kaatna pada .jiska mobile gulsher ne bachaya, vah vyakti ek judo teacher tha. usne tay kiya ki ve gulsher ko judo ka prashikshad dega.

COMMENT KARKE JARUR  BATAYEN STORY KAISI LAG

Shuru mai gulsher iske liye taiyaar nahi hua, phir maan gaya. teacher roj usse sirf ek hi daav sikhate the, jishse kabhi-kabhi toh gulsher gusse mai bhi aa jaata tha. yeh silsila do saal tak chalta raha. shehar mai judo ka mukabla shuru hua, toh gulsher ko usme apna naam dekh herani hui. pehle match mai gulsher ki kaffi dhulai hui. par antah mai usne vahi daav maara,

 jo teacher ne use sikhaya tha. ek ke baad ek match jeetkar gulsher final tak pahuch gaya. final mai gulsher ki kaafi dhulai hui.match khatm hone mai thoda hi samay bacha tha ki gulsher ke pratiduindi ne chhad bhar ke liye apna guard neeche kar liya, aur gulsher ne poori teji ke saath uske jabde par maara. pratiduindi vahi dher ho gaya aur gulsher ne mukabla jeet liya.

mukabla khtm hone ke baad gulsher teacher ke paas pahuchkar bola, mujhe yakin nahi ho raha. aapne mujhe keval ek hi daav shikhaya phir bhi mai jeet gaya. yeh kese sambhav hua?

teacher bole,iska pehla kaaran hai, tumne keval ek hi daav par apna dhyaan kendrit kiya aur tum uske ustaad ban gaye.aur dosra kaaran yeh hai ki ish daav ka ek hi tod hai ki koi tumahara banya haath pakadkar ghuma de lekin tumhara banya haath h hi nahi...


MORAL: KABHI KABHI HAMARI KAMJORI HI HAMARI TAKAT BAN JAATI  

BY: JYOTI SHARMA
             FROM MY DIARY

ABHI SURUAAT HAI.......

Comments